You may also like:
·
Baat Pohnchi Teri Jawani Tak
·
Saadgi To Humari Zara Daikhiye
·
Hum Na Baaz Ayen Ge Mohabbat Se
‘jaanay iss
dil ka haal kya ho ga’ aur ‘hum na baaz ayen ge mohabbat se’ aik hi ghazal k do
alag alag misray hain. Is kalam ko Sufi Sardar Muhammad Nishan Qadri Sahab ne
likha hai. Iss shairi ko kayi singers ne gaa rakha hai. Iss blog me Ghazal aur
Qawali dono k lyrics shamil hain:
Singers: Hadiqa Kiani, Sajjad Solangi, Nusrat
Fateh Ali Khan and more
By: Sufi Sardar Muhammad Nishan Qadri
READ: Jane is Dil ka haallyrics Urdu
Jaane Is Dil Ka Haal Kya Hoga
(Ghazal) Lyrics
Jaanay Iss Dil Ka Haal Keya Ho Ga
Tera Wada Agar Wafa Ho Ga
Hashr Mein Mera Hashr Keya Ho Ga
Teri Jaanib Agar Khuda Ho Ga
Be Sabab To Nahi Tadap Dil Ki
Teray Rukh Se Naqaab Utha Ho Ga
Hum Na Baaz Ayen Ge Mohabbat Se
Jaan Jaye Gi Aur Keya Ho Ga
Teri Bedaad, Meri Kahmoshi
Hashr Mein Is Ka Faisla Ho Ga
Tera Ghum Ye Samajh K Sehta Hoon
Meri Qismat Hi Mein Likha Ho Ga
Teri Mehndi Mein Itna Rung Kahan
Khoon e Aashiq Mila Hua Ho Ga
Un Kay Dar Ka Hai Yeh Nishaan Aalim
Dar Per Sa Aik Laga Ho Ga
READ: Jane is Dil ka haallyrics Urdu
Jaane Is Dil ka Haal
lyrics (Qawali) English || Jaane Is Dil ka Haal Kya Hoga lyrics English
translation
Nabzian Bhi Barkarar Hain,
Sans Bhi Chal Raha Hai Kuch,
Aaj Ka Din Guzar Geya,
Kal Ki Mujhe Khabar Nahi,
Jaanay Iss Dil Ka Haal Kya Hoga,
Tere Waada Agar Wafa Hoga,
Iss Tarah Wo Parsa Mujhse Juda Hota
Geya,
Mera Sar Jhukta Geya Aur Woh Khuda
Hota Geya,
Phair Kar Nazrain, Mila Mujhse Woh
Gairon Ki Tarah,
Dekhta Main Reh Geya Wo Bewafa Hota
Geya,
Hum Na Baaz Aayenge Mohabbat Se,
Jaan Jayegi Aur Kya Hoga,
Woh Aaye Hamari Lash Per
Divanavaar Aaye,
Isi Ko Maut Kehte Hain,
To Ya Rab Baar Baar Aaye,
Unki Taraf Se Tark E Mulaqat Ho Gayi,
Hum Jis Se Dar Rahe Thy,
Wohi Baat Ho Gayi,
Khuda Kare Meri Tarah,
Tera Kisi Pe Aaye Dil,
Tu Bhi Jigar Ko Tham Ke,
Kaheta Phire Ke Haye Dil,
Mehhfil Mein Baar Baar Uni Per Nazar
Gayi,
Humne Bachaayi Laakh,
Phir Bhi Udhar Gayi,
Unki Nazar Main Koyi Jadu Zurur Tha,
Jis Par Padi Usi Ke Jigar Mein Utar Gayi,
Ae Di Tod Ke Jaanay Wale,
Zara Dil Ki Baat Batata Ja,
Ab Main Dil Ko Kya Samjhaun,
Tu Mujhko Smajhata Ja,
Weh Mahiya Weh Sohna,
Husn-E-Ysuaf Ki Kasam,
Takht e Zulaikha Ki Kasam,
Jaan Jayegi Aur Kya Hoga,
Hashar Mein Mera Hashar Kya Hoga,
Teri Jaanib Agar Khuda Hoga,
Jaanay Iss Dil Ka Haal Kya Hoga,
Jaan Jayegi Aur Kya Hoga,
0 تبصرے